Gul Lyrics - Anuv Jain
in Album Songs
Watch the Video
Song Information
Lyrics
Na dastakein
Yeh tere dil ki
Haan wahi dhadkane hai
Yoon zor se jo tujhko
Ab sun rahin hai n
Sun le zara yeh
Tujhse kya keh rahin hain
Aye nahi
Jinke the waadein
Waqt uljha hua hain tere yahan pe
Kya who kal the yahan?
Yaan hafton pehlay ki yeh hain dastaan
Aye na teri yaad unko
Aye na teri yaad unko
Tootay makaan
Ik baar gir kar
Waise bante kahan hain
Jaise the tune
Apne dil se banaye
Oh karigar yoon
Hathon se the sajaaye
Aye na teri yaad unko
Aye na teri yaad unko
Kitabon ke ghar
Duniya hai teri
In dhool bharay panno mein
Tu kya dhoondti
Aur kya ho gaya joh tujhe
Iss dafa na milli pyaari si
Pariyon ki woh kahani
Aur tum yoon parayshaan ho kyun
Hai jaadugari aaj bhi
Tere dil mein hai baki
Aur in kagazon mein kahin
Ek gul hai jo aise
Tera intezaar kar raha hai
Yeh gul hai teri woh hassi
Kahan kho gai
Yeh bata
Khilegi kabhi
Aayega ik din
Jab unki raatein
Yoon na mehfooz hongi
Tere tere bin aise
Tu dekh lena
Teri kami tab unko mehsoos hogi
Mujhe mujhe hain pata yeh