bhar bhar ke jaam pilaa de Lyrics - Vyjayantimala | Vyjayanthimala | Suresh | Lata Mangeshkar | chorus

1955

Lyrics


aa jaa ~
aa jaa aa jaa mere saaqii
hasarat hai dil men baaqii
ulfat kaa jaam pilaa jaa
jiine kaa dhang bataa jaa
aa jaa aa jaa aa jaa aa jaa
aa jaa~~~
ye kis ne pukaaraa hai mujhe
kis ne pukaaraa~
hai kaun talab_gaar meraa
kaun hai pyaaraa~
saaqii main idhar huun
main idhar huun
main idhar huun
main paas men baithaa huun
aur main kadamon men padaa huun
bhar bhar ke jaam pilaa de -2
saaqii banaa de matavaalaa
tuu laa laa laa bas banaa de matavaalaa -2
sharaab/-e/-husn nazar se pilaane aayii huun
main ek-ek ko bekhud banaane aayii huun -2
adaa se naaz se abaro ke ik ishaare se -2
dilon men ishq kaa jaaduu jagaane aayii huun
bhar bhar ke jaam pilaa de /threedots
nazar milaao to dil ko qaraar aa jaaye
har ek adaa pe tum ko pyaar aa jaaye
uthaao jaam ke janataa se kam nahiin duniyaa -2
piyo piyo ke tumhen aitabaar aa jaaye -2
bhar bhar ke jaam pilaa de /threedots
vo muskuraa ke nigaahen milaaye jaate hain~
suruur ban ke mere dil pe chhaaye jaate hain -/2
milii hai aaj jo un kii nazar se merii nazar -/2
to haay mere kadam dagamagaaye jaate hain
bhar bhar ke jaam pilaa de /threedots