kisii kii muskuraahaTon pe ho nisaar Lyrics - Lalita Pawar | Raj Kapoor | Nutan | Mukesh

1975

Lyrics

kisii kii muskuraahaton pe ho nisaar
kisiikaa dard mil sake to le udhaar
kisiike vaaste ho tere dil men pyaar
jiinaa isii kaa naam hai
kisii kii
(maanaa apanii jeb se fakiir hain
phir bhii yaaron dil ke ham amiir hain ) - (2)
mite jo pyaar ke liye vo zindagii
jale bahaar ke liye vo zindagii
kisii ko ho na ho hamen to aitabaar
jiinaa isii kaa naam hai
(rishtaa dil se dil ke aitabaar kaa
zindaa hai hamiin se naam pyaar kaa ) - (2)
ke mar ke bhii kisii ko yaad aayenge
kisii ke aansuon men muskuraayenge
kahegaa phuul har kalii se baar baar
jiinaa isii kaa naam hai